WordPress Plugin Kya Hai

WordPress Plugin Kya Hai ? | Plugin Installation Full Detail In Hindi ?

Namaskar Dosto, Aaj Ke Is Article Me Hum Janegay Ki ” WordPress Plugin Kya Hai ? & Plugin Installation In WordPress “.

Bhuat Se Log Is Ka Tarika Jante Bhi Hongay , But Yhe Post Un Logo Ke Liya Hai , Jin Ne Abhi – Abhi WordPress Per Kam Start Kiya Hai , jo Fresher Hai.

WordPress Me Plugin Install Karne Se Phele , Aap Ko Yhe Janana Hoga Ki Plugin Hota Kya Hai.


WordPress Plugin Kya Hai In Hindi ?

  • Jesa Ki Aap Jante Hai WordPress Ek Bhuat Hi Popular Platform Hai . Jydater Log Ise Hi Choose Karte Hai Blogging Ke Liya
  • WordPress Aap Ko Puri Freedom Deta Hai Blogging Karne Ke Liya , Jis Me Aap Apni Website Ko Apne Hisab Se Customization Kr Sktay Hai. Isi Kam Me Jo Aap Ki Help Krta Hai , Usay Hi Hum Plugin Khate Hai.
  • Gernally , Ager Aap Ko Apni Website Me Koi New Feature Add Kerna Hota Hai , To Aap Ko Ek Developer Ki Help Chye Hoti Hai , Jo Aap Se Us Kam Ke Paise Charge Karega . But WordPress Plugin Usi Kam Ko Simple Kr Deta Hai , Vo Bhi Free Me.

Simple Se Language Me Btau To Plugin Ek Coding Ka Group Hota Hai , Jo WordPress Ko Jyada Load Nhi Deta Aur Website Ke Simple Customization Me Kam Aata Hai, Use Hi Hum Plugin Khetay Hai.



Related Article :- 



WordPress Plugin Kya Hai ? &Plugin Installation Step By Step :-

WordPress Plugin Kya Hai ? & Plugin Installation Kaise Kare :-

WordPress Me Plugin Ko Install Karne Ke Liya Basically Simple Se 3 Tarike Hai .


01 :-  WordPress Plugin Dashboard Se Install Kare :- 

  • Plugin Ko Dashboard Se Install Karna Bhuat Hi Simple Hai , Jydater Log Yhi Method Use Karte Hai. Kuki Ye Method Simple Hai .
  • But Is Method Se Aap Sirf Vo Hi Plugin Download And Active Kr Sktay Hai Jo WordPress.org Per Ho , External Plugin Download Nhi Kr Sktay Hai.

Dashboard Se Plugin Install Karne Ka Step By Step Process :- 

01 :- Sab Se Phele Aap Ko Apne WordPress Ke Dashboard Me Log In Karna Hoga.

02 :-  Left Side Me Plugins Ka Option Hoga Us Per Click Kare, Us Ke Bad Top Per Add New Ka Option Hoga Us Per Click Kare.

WordPress Plugin Kya Hai Aur Install Kaise Kare

03 :- Us Ke Bad Right Side Me Search Plugin Ka Option Aa Rha Hoga , Us Me Jo Plugin Aap Ko Active Karna Hai, Us Ko Search Kr Ke Download Aur Active Kare.

Us Ke Bad Aap Ka Plugin Install Ho Jayega , Install Plugin Ke Option Me Ja Kr Dekh Sktay Hai.


02 :- Upload Kr Ke Plugin Download Kare :- 

  • Sabhi Plugin Free Nhi Hote , Kuch Plugin Paid Bhi Hote Hai , Paid Plugin Sayed Hi Aap Ko WordPres.org Per Milengay .
  • Paid Plugin Ko Aap Us Plugin Ki Official Website Per Ja Kr Buy Kr Sktay Hai.
  • In Plugin Ko Aap Ko Download Karna Hoga Zip File Me , Phir WordPress Per Upload Kr Ke Active Karna Hoga.

Upload Kr Ke Plugin Ko Activate Karne Ka Step By Step Process :- 

01 :- Jab Aap Apna WordPress Ka Dashboard Option Karogey Tab Left Side Me Plugin Ka Option Milega , Us Per Click Kare.

02 :- Us Ke Bad Aap Ko Add New Plugin Ke Option Per Click Karna Hai.

03 :- Us Ke Bad Aap Ko Top Per Upload Plugin Ka Option Milega . Us Per Click Kare.

Plugin Installation

04 :- Us Ke Bad Choose File Ka Option Aayega , Us Per Click Kr Ke Download Kiye Plugin Ko Upload And Active Kr Le.

Is Step Ke Bad Aap Ka Plugin Download Ho Jayega.


03 :- C-Panel Se Plugin Download Kare | Plugin Installation From C-Panel :- 

Sabhi Server Me C-Panel Nhi Hota Hai , Khas Kr Managed Hosting Me . Ager Aap Ki Hosting Me C-Panel hai To , Aap Wha Se Bhi Plugin Ko Install Kr Sktay Hai .

Steps By Step Process :-  

01 :-  Sab Se Phele C-panel Me Log In Kare.

02 :-  Aap Ko WP Content >> Plugin Ke Option Me Jana Hoga , Phir Yha Per Aapne Plugin Ke ZIP File Ko Uplad Karna Hoga .

03 :-  Phir Us Ko Extract Kr De .

Congratulation , Is Step Ke Bad Aap Ka Plugin Install Ho Chuka Hai.


Ye Bhi Padhe :- 


To Dosto , Umeed Karte Hai Ki Aap Ko Ye Post ” WordPress Plugin Kya Hai And Plugin Install Kaise Kare ? ”  Acchi Lagi Hogi .H

Ager Aap Ka Koi Question Aur Suggestion Hai , To Aap Comment Kr Sktay Hai.

Thank You.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *