Contents
Web Hosting Kya Hai ? Kha Se Le ? Hosgator Se Le Ya Phir BlueHost Se Le, Ye Sawal Bhot Se Logo Ko Pta Hoga , But Jo Log Nhi Jantay Ye Post Un Logo Ke Liya hai .
Hosting Se Related Sabhi Sawalo Ke Jawab Aaj Aap Logo Ko Is Post Me Milengay.
Note :- Me Yha Apne Blog Per Website Kese Banye ?, Domain Name Kese Le ? Hosting Aur Domain Ko Kese Connect Kray ? In Sab Ki Puri Jankari Step By Step Dalnay Wala Hu , Aap Website Bnana Chatay Hai To Series Ko Follow Ker Saktay Hai.
Webhost ( Hosting ) Kya Hai ? Is Hosting Essential For A Website Or Blog ?
- Dosto , Internet Per Website Or Blog Banane Ke Liya Humay ,Space ( Jhagay ) Ki Jaroorat Hoti Hai. Jha Per Hum Apnay Blog Or Website Ke Data Matlab Content Ko Store Kr Skay , Us Space Ko He Internet Ki Duniya Me Webhost ( Hosting ) Khetay Hai .
- Hume hosting internet per online kharidni Padti hai , Bhuat sari company hai jo internet per hosting provide krvati hai. Example :- Hostgator , Bluehost , Godaddy ,Etc.
- Jab Hum In Company Se Hosting Buy Krtay Hai , To Ye Humay Internet Per Ek Chota Sa Space De Detay Hai , Is Space Ko Web Server Bhi Kha Jata Hai .
- Phir Hum Jab Bhi , Apni Website Per Kisi Bhi Type Ki Information ( Content ) Publish Krtay Hai To Jo Information (Content) Hota Hai Vo Humay Web Server Me Ja Ker Save Ho Jata Hai.
- Aur Ye Web Server 24 Ghanatay Live Hota Hai Internet Per.
Simple Language Me Btau To , Jese Humay Koi Bhi Shop Open Krnay Ke Liya Jhagay Chye Hoti Hai , Usi Jhagay Ko Internet Me Hosting Khetay Hai .
Aur Vo Jhagay Jo Provide Krva Rha Hai Usay Hosting Company Khetay Hai.
Hosting Buy Krnay Ke Bad Humay Domain Ki Jarorat Hoti Hai , Jese Ki Shop Open Krnay Ke Bad Shop Ke Name Ki Jaroorat Hoti Hai Thik Usi Thray , Hosting aur Domain Ko Connect Krnay Ke Liya DNS (Domain Name Server) Ki Jaroorat Hoti Hai.
Web Hosting Kya Hai Aur Kaam Kaise Krta Hai ?
Jesa Ki Mene Aap Ko Bataiya , Web Hosting Kya Hai ? Ab Me Btaunga Ki Ye Kaam Kese Krta Hai ?
- Webhost ( Hosting ) Or Web Server Ka Kam Hota Hai Information Ko Store Kr Ke Rakna .
- Jab Bhi Koi User Google Per , Kisi Bhi Type Ka Question Search Krta Hai , Tab Jo Result Aatay Hai Vo Sabhi Result Different -Different Web Server Se Aatay Hai . Asay Web Server Internet Per Lakho Me Hai . Un Web Server Per Us Question Se Related Posts, Un Web Server Ke Owner Ne Dal Rakhi Hogi . Tabhi Vo Result Me Dikh Rhaiye Hai.
- User Jab Question Search Krta Hai Google Per , Tab Google In Lakho Web server Me Jata Hai , Jha Question Se Related Information Hota Hai , Un Information Ko Uthata Hai Or User Ko Show Ker Deta Hai.
To Is Type Se Hosting Ka Role Internet Ki Duniya me Hota Hai.
Web Hosting Kya Hai Aur Kitne Type Ki Hoti Hai ?
Ager Webhost ( Hosting ) Ke Type Ki Bat Kray To Ye Bhot Type Ki Hoti Hai . For Example :- Cloud Hosting , Vps Hosting , Etc .
But Specially Web Hosting Ko Do Category Me Divide Kiya Gaya Hai :–
1 :- Free Web hosting Service Provider .
2 :- Paid Web Hosting Service Provider.
Free Web Hosting Service Provider :-
- Blogger.com
- Weebly.com
- Byehost.com
- Wix.com , ETC
Ager Aap Ke Pass Rupee Nhi Hai , Ya Phir Karch Nhi Krna Chatay , Aur Blogging Free Me Krna Chatay Ho , To Aap Ke Liya Best Platform Blogger,com Rhayega.
Kuki Yha Per Aap Ko Free Unlimited Space Mil Jata Hai , With Multiple Sub-Domain Ke Sath.
Ager Aap Blogger.com Use Kr Rhaye Hai To Aap Ko Web Hosting Kya Hai , Us Ki Tension Lenay Ki Jaroorat Nhi Hai.
Paid Web Hosting Service Provider :-
- Hostgator
- Bluehost
- Godaddy
- Bigrock , Etc
Ye Sabhi Service Paid Hai , Yha Per Aap Ko Hoating Buy Krni Padegi Vo Bhi Dollar Me , ager Aap Blogging ko Apna Carrier Banana Chatay Hai Ya Phir Professional Website Banana Chatay Hai To Me Aap Ko Paid Hosting Recommand Krunga . To Aap Log Yha Se Hosting Le Saktay Hai.
Hosting Kharidtay Samay Kuch Points Ka Dhyan Rakhay :-
- WordPress Ke Liya Hosting whai Se Khariday Jha Per Company 24*7 Support De Rhi Ho.
- Kisi Bhi Type Ki Problem Anay Per Direct Web hosting Company Customer Care Me Bat Ho Jaye.
- Ho Skay To Hosting whai Se Le , Jha Per Customer Care Apni Language ( Hindi ) Me Bat Ker Skay Mtlb Hosting Provider Company Indian Ho.
- Hosting Better Hosting Service Provider Se Le.
- Dhyan Rhaye Hosting Provider Company Ki Hosting Speed Acchi Ho , Taki Aap Ki Website Ka Loading Time Kam Ho.
Web Hosting Ke Kya Benifits Hai ?
- Ager Aap Kisi Acchi Web Hosing Ka Use Krtay Hai To Aap Ko Unlimited Space Tak Mil Skta Hai , With Multiple Domain , Etc
- Achhi Web Hosting Use Krnay Se Aap Ki Website Ki Loading Speed Kam Hoti Hai.
- Ager Aap Ki Website Ki Speed Achhi Hai Mtlb Kaam Hai To Google Me Aap Ki Website Ki Ranking Increase Hoti Hai.
- Ager Google Me Aap Ki Website Ki Ranking Acchi Hogi To , Aap Ki Website Ki Authority Bhi Increase Hogi , Alexa Rank Bhi Accha Hoga.
- Acchi Hosting Lenay Se Aap Apni Website Ka Online Back Up Bhi Bna Sktay Hai.
- Web Hosting Service Me Bhot Se Acchay Feature Miltay Hai , Yhe Aap Ke Blog Ya Website Ke Content Aur Admin Account Ko Secure Rakhta Hai. Aur Bhi Bhot Sare Use Hotay Hai Paid Hosting Lenay Se.
Note :- Ye Sabhi Benifits Aap Ko Paid Hosing Me Miltay Hai.
Web Hosting Kya Hai ? Aap Ko Yhe Article Kaisa Lga , Aap Comment Kr Ke Jaroor Bataiye .
Aur Aap Ke Hisab Se Kon Si Web Hosting Provider Accha Hai & Aap Ne Apni Website Ke Liya Kha Se Hosting Buy Ki Hai ?
Note :- Ager Aap Ko Is Me Kisi Bhi Type Ki Problem ho To Aap Comment Me Likh Saktay Hai .
Thank You.