Namaskar Dosto, Aaj Ke Is Article Me Hum Janegay Ki ” WordPress Plugin Kya Hai ? & Plugin Installation In WordPress “.
Bhuat Se Log Is Ka Tarika Jante Bhi Hongay , But Yhe Post Un Logo Ke Liya Hai , Jin Ne Abhi – Abhi WordPress Per Kam Start Kiya Hai , jo Fresher Hai.
WordPress Me Plugin Install Karne Se Phele , Aap Ko Yhe Janana Hoga Ki Plugin Hota Kya Hai.
WordPress Plugin Kya Hai In Hindi ?
- Jesa Ki Aap Jante Hai WordPress Ek Bhuat Hi Popular Platform Hai . Jydater Log Ise Hi Choose Karte Hai Blogging Ke Liya
- WordPress Aap Ko Puri Freedom Deta Hai Blogging Karne Ke Liya , Jis Me Aap Apni Website Ko Apne Hisab Se Customization Kr Sktay Hai. Isi Kam Me Jo Aap Ki Help Krta Hai , Usay Hi Hum Plugin Khate Hai.
- Gernally , Ager Aap Ko Apni Website Me Koi New Feature Add Kerna Hota Hai , To Aap Ko Ek Developer Ki Help Chye Hoti Hai , Jo Aap Se Us Kam Ke Paise Charge Karega . But WordPress Plugin Usi Kam Ko Simple Kr Deta Hai , Vo Bhi Free Me.
Simple Se Language Me Btau To Plugin Ek Coding Ka Group Hota Hai , Jo WordPress Ko Jyada Load Nhi Deta Aur Website Ke Simple Customization Me Kam Aata Hai, Use Hi Hum Plugin Khetay Hai.
Related Article :-
- Article Kaise Likhe Or Post Kaise Likhe WordPress Me ?
- How To Get Free SSL ( https:// ) For A WordPress Website ?
- How To Install Free WordPress Theme ?
WordPress Plugin Kya Hai ? &Plugin Installation Step By Step :-
WordPress Plugin Kya Hai ? & Plugin Installation Kaise Kare :-
WordPress Me Plugin Ko Install Karne Ke Liya Basically Simple Se 3 Tarike Hai .
01 :- WordPress Plugin Dashboard Se Install Kare :-
- Plugin Ko Dashboard Se Install Karna Bhuat Hi Simple Hai , Jydater Log Yhi Method Use Karte Hai. Kuki Ye Method Simple Hai .
- But Is Method Se Aap Sirf Vo Hi Plugin Download And Active Kr Sktay Hai Jo WordPress.org Per Ho , External Plugin Download Nhi Kr Sktay Hai.
Dashboard Se Plugin Install Karne Ka Step By Step Process :-
01 :- Sab Se Phele Aap Ko Apne WordPress Ke Dashboard Me Log In Karna Hoga.
02 :- Left Side Me Plugins Ka Option Hoga Us Per Click Kare, Us Ke Bad Top Per Add New Ka Option Hoga Us Per Click Kare.
03 :- Us Ke Bad Right Side Me Search Plugin Ka Option Aa Rha Hoga , Us Me Jo Plugin Aap Ko Active Karna Hai, Us Ko Search Kr Ke Download Aur Active Kare.
Us Ke Bad Aap Ka Plugin Install Ho Jayega , Install Plugin Ke Option Me Ja Kr Dekh Sktay Hai.
02 :- Upload Kr Ke Plugin Download Kare :-
- Sabhi Plugin Free Nhi Hote , Kuch Plugin Paid Bhi Hote Hai , Paid Plugin Sayed Hi Aap Ko WordPres.org Per Milengay .
- Paid Plugin Ko Aap Us Plugin Ki Official Website Per Ja Kr Buy Kr Sktay Hai.
- In Plugin Ko Aap Ko Download Karna Hoga Zip File Me , Phir WordPress Per Upload Kr Ke Active Karna Hoga.
Upload Kr Ke Plugin Ko Activate Karne Ka Step By Step Process :-
01 :- Jab Aap Apna WordPress Ka Dashboard Option Karogey Tab Left Side Me Plugin Ka Option Milega , Us Per Click Kare.
02 :- Us Ke Bad Aap Ko Add New Plugin Ke Option Per Click Karna Hai.
03 :- Us Ke Bad Aap Ko Top Per Upload Plugin Ka Option Milega . Us Per Click Kare.
04 :- Us Ke Bad Choose File Ka Option Aayega , Us Per Click Kr Ke Download Kiye Plugin Ko Upload And Active Kr Le.
Is Step Ke Bad Aap Ka Plugin Download Ho Jayega.
03 :- C-Panel Se Plugin Download Kare | Plugin Installation From C-Panel :-
Sabhi Server Me C-Panel Nhi Hota Hai , Khas Kr Managed Hosting Me . Ager Aap Ki Hosting Me C-Panel hai To , Aap Wha Se Bhi Plugin Ko Install Kr Sktay Hai .
Steps By Step Process :-
01 :- Sab Se Phele C-panel Me Log In Kare.
02 :- Aap Ko WP Content >> Plugin Ke Option Me Jana Hoga , Phir Yha Per Aapne Plugin Ke ZIP File Ko Uplad Karna Hoga .
03 :- Phir Us Ko Extract Kr De .
Congratulation , Is Step Ke Bad Aap Ka Plugin Install Ho Chuka Hai.
Ye Bhi Padhe :-
To Dosto , Umeed Karte Hai Ki Aap Ko Ye Post ” WordPress Plugin Kya Hai And Plugin Install Kaise Kare ? ” Acchi Lagi Hogi .H
Ager Aap Ka Koi Question Aur Suggestion Hai , To Aap Comment Kr Sktay Hai.
Thank You.